Main aaj bhi unhi bachpan ke lamhon r yaadon se khelta hun
Tu kab sayani hoke haath chooda chali gai pata hi nahi chala
Aaj bhi Teri aankhen peecha karti hain mera din raat
Par Iss sheher ke dhooen me tera chehra kahin kho gya hai
Peechle 7 dino se tera chehra hi khoj raha hun yaha se wahan
FIR ko teri tasveer maangi hai police waalon ne aaj
Teri aankhon se hi pooch raha hun tere chehre ke baare me
Wo bhi bechaare reh-reh ro dete hain meri diwaangi dekh
Main andar hi andar man me uthe toofaan ko sula diya karta hun
Mej pe Raat jalake neend se bhor tak baatein karta hun
Subeh fir nikal jaata hun tera chehra dhoondne in chehron ke beech
Abhi Qutub minar pe chadd, jaate baadlon se poocha hain
Unnhone ek khoye chehre ke baare me bataya hai abhi
Usi chehre ka intezaar kar raha hun main yahan kab se
Wo wahan koi aata dikh raha hai, kahin wahi to nahi
Wo haath badha bula rahi hai , haan main abhi aata hun
Par main ussey door kyun ho raha hun kahan jaa raha hun
Ye log kyun ghere Khade hain mujhe kya Jo gya aisa
Teri aankhen mujhe yun god me liye aise ro kyun rahi hai
Apne dupattey se mera chehra kyun saaf kar rahi hain
Meri maa ki rone ki awaaz kyun aa rahi hai mujhe
Arey log utha ke kahan le jaa rahe hain kandhe pe
Ye chatai me lapet mitti me kyun daba rahe hai mujhe
Arrey mujhpe ye log mitti kyun daal rahe hain
Suno.... mujhe ek baar meri maa se to mil lene do
Ek baar gale laga ke ye to pooch lene do wo kyun ro rahi thi
Koi Sun raha hai kya mujhe
Saalon koi to jawab do....suno!

No comments:
Post a Comment