Friday 27 September 2013

कुछ आधी बातें हैं रह गयी .....



कुछ आधी बातें  हैं रह गयी 
कुछ आधी  रातें हैं रह गयी 

कुछ आधी ख़्वाहिशें हैं रह गयी 
कुछ आधी  गुंज़ाइशें हैं रह गयी 

कुछ आधी मुलाक़ाते  हैं रह गयी 
कुछ आधी रंज़िशें  हैं रह गयी 

कुछ आधी खुश्बूएँ  हैं रह गयी 
कुछ आधी करवटें  हैं रह गयी 

कुछ आधी रज़ाई हैं रह गयी 
कुछ आधी सलवटें  हैं रह गयी

कुछ आधी रुबाइयाँ हैं रह गयी 
कुछ आधी परछाईयाँ  हैं रह गयी 

कुछ  आधा मैं हूँ  रह गया 
कुछ आधी तू हैं रह गयी 



~ शौर्य शंकर 

Dekhna Apni yaadon ke har pal ko cheetiyan ek-ek kar le jaane lagi

Dekhna Apni yaadon ke har pal ko cheetiyan ek-ek kar le jaane lagi 
Kuch iss tareh apne ishq ki mishri dusron ke zubaan lagne lagi 
Etrr me doobi si teri yaad kuch dino se kathak seekne Jane lagi
Or meri palken uski hatheli thame ghar se roz use laane-lejaane lagi
Teri mus roz raat me meri khwaabon ki patang dekho udaane lagi
Kuch isi tareh abkey chaand pe amaawas me diwaali manane lagi
Tere intezaar ke har lamhe ko shabdon me baandh chiththi mujhtak laane lagi
Meri ruh unn chiththion ko liye paaglon ki tareh zor-zor se nachne lagi
Teri didaar ko baahon me liye meri aankhen kabhi hastne-kabhi rone lagi
Bura saaya soch koi log aate jaate paththaron ke phool sar pe barsane lage
Har qatre me basi teri aashiqi dekh na zakhm ka saath chhod ke jaane lagi
Kuch isi tarah meri aankhon me basi teri tasveer dheere-dheere qabrr ko jaane lagi 

Pehle kabhi raasta apne ghar ka main bhoola tha nahi

Pehle kabhi raasta apne ghar ka main bhoola tha nahi 
Kuch dino se tere chehre ke siwa kuch nazar Jo aata nahi 
koi aks tha raaste me Jo haath thaam girne pe utha gya 
Andhere me Na Zakhm ka pta chala na raaston ka
Koi tha Jo saath saath dabey kadmon se aagey chalta raha 
Accha! tera hi ishq tha Jo raat malham laga sisak ke rota raha ..

Main aaj bhi unhi bachpan ke lamhon r yaadon se khelta hun

Main aaj bhi unhi bachpan ke lamhon r yaadon se khelta hun
Tu kab sayani hoke haath chooda chali gai pata hi nahi chala 
Aaj bhi Teri aankhen peecha karti hain mera din raat 
Par Iss sheher ke dhooen me tera chehra kahin kho gya hai 
Peechle 7 dino se tera chehra hi khoj raha hun yaha se wahan
FIR ko teri tasveer maangi hai police waalon ne aaj 
Teri aankhon se hi pooch raha hun tere chehre ke baare me
Wo bhi bechaare reh-reh ro dete hain meri diwaangi dekh
Main andar hi andar man me uthe toofaan ko sula diya karta hun
Mej pe Raat jalake neend se bhor tak baatein karta hun
Subeh fir nikal jaata hun tera chehra dhoondne in chehron ke beech
Abhi Qutub minar pe chadd, jaate baadlon se poocha hain
Unnhone ek khoye chehre ke baare me bataya hai abhi
Usi chehre ka intezaar kar raha hun main yahan kab se
Wo wahan koi aata dikh raha hai, kahin wahi to nahi
Wo haath badha bula rahi hai , haan main abhi aata hun
Par main ussey door kyun ho raha hun kahan jaa raha hun
Ye log kyun ghere Khade hain mujhe kya Jo gya aisa
Teri aankhen mujhe yun god me liye aise ro kyun rahi hai
Apne dupattey se mera chehra kyun saaf kar rahi hain
Meri maa ki rone ki awaaz kyun aa rahi hai mujhe
Arey log utha ke kahan le jaa rahe hain kandhe pe
Ye chatai me lapet mitti me kyun daba rahe hai mujhe
Arrey mujhpe ye log mitti kyun daal rahe hain
Suno.... mujhe ek baar meri maa se to mil lene do
Ek baar gale laga ke ye to pooch lene do wo kyun ro rahi thi
Koi Sun raha hai kya mujhe
Saalon koi to jawab do....suno!